Sep 7, 2014

Main jahan tum ko bulaata hoon wahaan tak aayo


Main jahan tum ko bulaata hoon wahaan tak aayo

Meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aayo

Phir yeh dekho keh zamanay ki hawa hai kaisi

Saath meray meray firdos-e-jaan tak aayo

Tegh ki tarah chalo chor kay aaghosh-e-niyaam

Teer ki tarah se aghosh-e-kamaan tak aayo

Phool kay gird phiro baagh main maanind-e-naseem

Misal-e-parwaana kisi shaam-e-tapaan tak aayo

Lo woh sadiyon kay jahanum ki hadain khatam huiein

Ab hai firdous hi firdous jahan tak aayo

Chor kay weham-o-gumaan husan-e-yaqeen tak poncho

Par yaqeen se bhi kabhi weham-o-gumaan tak aayo

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...