Khwaab-o-khyaal ko ab mil rahi hai amaan
Na ab woh masti-e-dil hai , na ab woh nasha-e-jaan
Na toot jaye kahin silsala tamana ka
Jo dard-o-dil ka tha rishta ussay bahaal karo
Nahin hai gardish-e-saagar to gardish-e-khoon hai
So apnay gardish-e-khoon se hi kuch sawaal karo
Zara to silsala-e-rang ka khyaal karo
Zawaal-e-haal kay din hain koi kamaal karo
Hai fasal-e-yaas to khud ko koi fraib hi dain
Koi umeed to dilaao keh aarzoo to rahay
NAzar uthay na uthay dil hi kuch tehar jaye
Qadam uthain na uthain koi justagoo to rahay
Ho charcha-e-gham-e-jaan kiya yeh guftagoo to rahay
Keh dil kay haal ko pur'maajra to rakhna hai
Khyal-o-naaz-e-lehaaz-e-ada to rakhna hai
Na peejiye meh-e-hisaar ba'bang-e-ching magar
Kisi kay chasham se kuch silsala to rakhna hai
Jo dil ka khoon hua hai , ussay bhula dain kiya
Hisaab-e-baish-o-kam-e-khoon baha to rakhna hai
Shab-e-daraaz-e-judai hai aarzoo ki hareef
So zakham-e-shouq ko jalta hua to rakhna hai
NA toot jaye kahin silsala tamana ka
No comments:
Post a Comment