Sep 13, 2014

Chahta hoon keh bhool jaaon tumhain



Chahta hoon keh bhool jaaon tumhain

Aur yeh sab dareecha haa'e khyaal

Jo tumhri hi simat khultay hain

BAnd kar doon kuch is tarah keh yahaan

Yaad ki ik kiran bhi aa na sakay

Chahta hoon keh bhool jaaon tumhain

Aur khud bhi na yaad aaon tumhain

Jaisay tum sirf aik kahaani thein

Jaisay main sirf aik afsana tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...