Sep 16, 2014

Loat aao


Loat aao

Keh zindagi ki raah main

Mohabbaton ki chah main

Ghairon ki pannah main

Koi akela hai tujh bin

Loat aao

Keh zakhmon kay ghaao main

Sulagti dhoop kay jhalaao main

Waqat kay bahaao main

Koi akela hai tujh bin

Kisi ki saans lenay tak dushwaar ho gayi

Loat aao


Keh kahin saanson ki door na jaye

Keh aankhain mohabbat sirf hasrat hi ban kay na reh jaye

Loat aao

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...