Sep 16, 2014

Zindagi tehar jaa abhi aik mor baaqi hai


Zindagi tehar jaa

Abhi aik mor baaqi hai

Meri saanson main atki si

Abhi aik dour baaqi hai

Jissay chaha bhout main ne

Dil ki chah main jaana

Unhi kay saath ki woh aik

Gharri anmol baaqi hai

Meri aankhon main mohabbat ka samaa

Phir lout aye ga

Woh kehtay hain tumharay sang

Khushi kuch aur baaqi hai

Un ki her baat kay andar

Chuppi ik un'kahi dastak

Jo her pal mujh se kehti hai

Yeh dharkan tum se baaqi hai

Hain kitnay raastay lakin

Yeh dil jaana nahin chahata

Keh ! chaand ki aik zanjeer

Abhi paaon main baaqi hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...