Sep 5, 2014

MAin jis makaan main rehta hoon , us ko ghar kar dy


Mere khuda mujhay itna to moh'tabar kar dy
MAin jis makaan main rehta hoon , us ko ghar kar dy 

Yeh roshni kay taaqub main bhaagta hua din 
Jo thak gaya hai to ab is ko muktasir kar dy 

Main zindagi ki dua maangnay laga hoon bhout 
Jo ho sakay to duaon ko be'asar kar dy 

Sitaara-e-sehri doobnay ko aya hai 
Zara koi mere suraj ko ba'khabar kar dy 

Meri zameen mera aakhri hawala hai 
So main rahoon na rahoon , is ko barawar kar dy 

Main apnay khwaab se hat kar jeeon to mere khuda 
Ujjaar dy meri matti ko dar-ba-dar kar dy 

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...