MAin khyaal hoon kisi aur ka , mujhay sochta koi aur hai
Sar-e-aaina mera aks hai , pas-e-aaina koi aur hai
Main kisi kay dast-e-talab main hoon tu kisi kay harf-e-dua main hoon
Main naseeb hoon kisi aur ka , mujhay maangta koi aur hai
Ajab aaitabaar-o-be'aaitabaari kay darmiyaan hai zindagi
Main qareeb hoon kisi aur kay , mujhay jaanta koi aur hai
Meri roshni teray khad-o-kaal se mukhtalif to nahin magar
Tu qareeb aa, tujhay dekh loon to wohi hai ya koi aur hai
Tujhay dushmano ki khabar na thi , mujhay doston ka pata nahin
Teri dastaan koi aur thi , mera waqiya koi aur hai
Wohi munsafon ki riwayatein , wohi faisalon ki ibaaratein
Mera juram to koi aur tha , par meri saza koi aur hai
No comments:
Post a Comment