Kabhi jo chairr gayi yaad-e-raftagaan Mohsin
Bikhar gayi hain nigahain kahan kahan mohsin
Hawa ne raakh uraai to dil ko yaad aya
Keh jal bujhain mere khwaabon ki bastiyaan mohsin
Kuch aisay ghar bhi mile jin main ghoongaton ki awaaz
Hui hain dafan do patton main larkiyaan mohsin
Khandar hai ehad-e-guzishta na choo na chairr issay
Khulain to band na hon is ki khirkiyaan mohsin
Bujha hai kiyon sitaara keh apni aankh kay saath
Huwey hain saray manzir dhuwaan dhuwaan mohsin
NAhin keh us es ganwaa hain maah-o-saal apnay
Tamaam umar katti youn bhi raigaan mohsin
Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
Smaitna thein jissay meri kirchiyaan mohsin
Kahin se us ne bhi tora hai khud se rabt-e-wafa
Kahin se bhool gaya main bhi daastaan mohsin
No comments:
Post a Comment