Mujhay shab bhar rulaata raha
Woh qissa-e-gham sunaata raha
Mera zabt azmaata raha
Aaj sar-e-baam woh apnay
Dil kay daagh dikhaata raha
Noha-e-dil-e-barbaad koi
Akheer-e-sab ko gaata raha
Kisi kay haath main teer thay
Koi zakham sehlaata raha
Woh sakoon ka mutlaashi tha
Aur mujhay dard bhaata raha
Us ki tanhai ka khyaal
Mujhay her pal stata raha
Kiya hai hijr-o-wisaal aakhir
Waqat mujhay samjhata raha
Bhulaanay se woh nahon bhula
Reh reh kay yaad aata raha
Raqabat ki intiha dekho
Suraj diya bhujhata raha
Khaak hui main jal jal kar
Zamana raakh uraata raha
Us ki aankh ka paani
Mujhay shab bhar rulaata raha
No comments:
Post a Comment