Sep 5, 2014

Na mohabbaton ka hisaab tha na adawaton ka shumaar tha



Na mohabbaton ka hisaab tha na adawaton ka shumaar tha 
Kabhi zaat us ki azaab thi , kabhi rooh ka woh qaraar tha 

Ussay main ne mur kay sadaa na di keh palat gaya tha woh raah se
Main khizaan hua to pata chala meri zaat ka woh nikhaar tha 

Meri pyaar utni hi barh gayi , keh saraab itnay mile mujhay 
Huwa jis pe dhoka gulaab ka , woh sulagta jalta shraara tha 

Tu bhi door hai main bhi door hoon kiyon alag huye hain yeh raastay 
Meri chahton ka guraiz tha , ya teri ana ka hisaar tha 

Woh kabhi kisi ko mile kahin , to koi bata dy ussay zara 
Meri fun-e-shair ki be'khudi , tere ishq ka hi kamaal tha 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...