Sep 5, 2014

Zindagi kiya hai kisi taaq main jal kat dekho


Raat ko shamma ki maanind pighal kar dekho 
Zindagi kiya hai kisi taaq main jal kat dekho 

Apnay chehray ko badalna to bhout mushkil hai 
Jee behal jaye ga aaina badal kar dekho

Rang bikhrain gay to fariyaad kary gi khushboo
Tum kisi phool ko chutki se masal kar dekho

Jab bhi dekha tumhain ek khwaab ki surat dekha 
Ek din paikar-e-tabeer main dhal kar dekho

Zindagi main hai nawaazgi tumhain bhi "nikhat"
Kisi bachay ki tarah tum bhi machal kar dekho

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...