Sep 24, 2014

Phir kuch khwaab buntay hain



Chalo raat kay daman se

Neendain churaatay hain

Phir kuch khwaab buntay hain 

Khwaab 

Woh saray jinhain hum ne 

Saahil ki rait pe likha tha 

Baarish ki nanhi nanhi boondon main dekha tha 

Khwaab woh 

Jissay un qatron 

main piroya tha 

Un khwaabon ko amar to karna ho ga 

Yehni 

Tabeer ko un ki sab khona ho ga 

Dekho

Ehtiyaat ka daaman na chootay

Un khwaabon main kahin koi 

Shab-e-wasal

Ehad-e-wafa

Adhoori baat 

Aankh ka kajal

Urrta hau aanchal

Yeh sab bhi rakha hai 

Inhain zad na ponchay

Chalo saray khwaab amar kar lain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...