Phir se us ki aahat ka dhoka aya
Kal shab aik hawa ka jhonka aya
Phir se us ki aahat ka dhoka aya
Aanso'on ki baaris thi shayed
Jo hawa kay sang koi
Lamha rota aya
Shayed
Naag-e-tanhai ne dassa hai ussay
Khushboo-e-zehar main mehka
Woh jhonka aya
Kitna tanha ho gaya ho ga woh
Jo her sandesa us ka tanha sa aya
Silsala-e-rafaqat to khud hi
Qatta kar gaya tha woh
Kiyon phir hawa ka her pehlu
Khwaish-e-wasal main behta aya
No comments:
Post a Comment