Rootha to shaher-e-khwaab ko ghaarat bhi kar gaya
Phir muskura kar taza shararat bhi kar gaya
Shayed ussay aziz thein aankhain meri bhout
Woh mere naam apni basaarat bhi kar gaya
Munh'zor aandiyon ki hathaili pe ek chragh
Paida mere lahoo main haraarat bhi kar gaya
Boseeda baad'baan ka tukra , hawa kay saath
Toofaan main kashtiyon ki sifaarat bhi kar gaya
Dil ka nagar ujaarnay wala hunar shanaas
Tameer hoslon ki imaarat bhi kar gaya
Sab ehal-e-shaher jis par utha'tay thay ungliyaan
Woh shaher bhar ko wajah-e-ziarat bhi dy gaya
Mohsin yeh dil keh us sy bicharta na tha kabhi
Aaj us ko bhoolnay ki jurrat bhi kar gaya
No comments:
Post a Comment