Kahan yeh bas main keh hum khud ko hosla detay
Yahi bhout tha keh her gham pe muskuraa detay
Hawa ki dor ulajhti jo ungliyon se kabhi
Hum asmaan pe tera naam tak saja detay
Hamaray aks main hoti jo zakham-e-dil ki jhalak
Hum aainay ko bhi apni tarah rulaa detay
Hamain bhi roshniyon par jo dastaras hoti
Kabhi chragh jalaatay kabhi bujha detay
Hamaray paaon hawaon ki zad main thay warna
Guzarti umar ko ruk ruk kar sadaa detay
Ab us ki yaad se us ka badan traashtay hain
Woh khwaab bhi to nahin tha keh hum bhula detay
Ussi kay wastay Mohsin kahay hai taza ghazal
Hum us ki saal'girah par ab aur kiya detay
No comments:
Post a Comment