Sep 4, 2014

Sakoon mohaal hai ajmad wafa kay raastay main



Sakoon mohaal hai ajmad wafa kay raastay main
Kabhi chragh jalay hain hawa kay raastay main 

Na'janay ab kay baras  khaitiyon pe kiya guzray 
Kai pahaar kharay hain hawa kay raastay main 

Qadam qadam pe qadam larkharaye jaatay hain 
Buuton kay dhair lagay hain khuda kay raastay main 

Dair-e-ehal mohabbat main kis ne di awaaz
Hazaar saaz bajtay hain sada kay raastay main 

Siwaye dard-e-mohabbat ' ba'juz ghubaar-e-safar 
Koi rafeeq na paya wafa kay raastay main 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...