Sard kamray main machalti garm saanson ki mehak
Sabz madham roshni main surk aanchal ki dhanak
Sard kamray main machalti garm saanson ki mehak
Baazo'on kay sakht halkay main koi nazuk badan
Silwatein malboos par aanchal bhi kuch dhalka hua
Garmi-e-rukhsaar se dhunki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulaaim ungliyon ki chair chaar
Surk honton pe shraarat ky kisi lamhay ka aks
Reshmi baanhon main choori ki kabhi madham khanak
Sharmageen lehjon main dheeray se kabhi chahat ki baat
Do dilon ki dharkano main goonjti thi ek sada
Kaamptay honton pe thi Allah se sirf ik dua
Kaash yeh lamhay tehar jayein tehar jayein zara
No comments:
Post a Comment