Sep 23, 2014

Tu ne aanay ka sirf aik baar wada kiya tha


Roz ghar ko sanwaarti hoon 

Guldaan main 

Phoolon ko sajaati hoon 

Naye parday dareechon par lagaati hoon 

Aur saleeqay se shelf main rakhti hoon kitaabain 

Raat bhar darwaaza

Khula rakhti hoon 

Khud ko bhi araasta karti hoon 

Aankhon main kajal lagaati hoon 

Chooriyon ses baanhon ko 

Hathali ko mehandi se

Sajaati hoon 

Aur nikharti hoon , bikharti hoon 

Tu ne aanay ka sirf aik baar 

Wada kiya tha 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...