Sep 20, 2014

shaam kay pehlay sitaaray main


Tumhari zindagi main , main kahaan par hoon 
Hawa-e-subha main 
Ya shaam kay pehlay sitaaray main 
Jhijakti boonda baandi main 
Keh be'had tez baarish main 
Pehli chaandni main 
Ya keh phir tapti dohpehron main 
Bhout gehray khyalon main 
Keh be'has sar'sraati dhunn main 
Tumhari zindagi main 
MAin kahaan par hoon 
Keh ik khawaab-e-mohabbat tootnay 
Aur doosra aaghaaz honay kay 
Kahin mabain ik be'naam lamhay ki fraaghat 
Tumhari zindagi main 
Main kahaan par hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...