Shaher ka shaher agar aye bhi samjhanay ko
Is se kiya farq paray ga tere dewaanay ko
Jis qadar weham hai sab us kay atta karda hain
Liye phirta hoon kisi aur kay butt'khanay ko
Yeh hunar woh hai jo dil se kabhi seekha na gaya
Tu ne to jor liya tor kay paimaanay ko
Kiya koi khail hai be'naam-o-nishaan ho jana
Waisay shaam bhi tayaar hai jal janay ko
Woh ajab shakhs tha kal jis se mulaqaat hui
MAin mila hoon kisi jaanay huye anjaanay ko
Aaj kay dukh bhi kisi se jhailay nahin jaatay
Yaad mat kar kisi bhoolay huye afsaanay ko
Door tak raat ki aankhon main kahin neend nahin
Itna snaata hai keh aye koi tarpaanay ko
Zindagi bhar main koi shai to mukamal kar lain
Aao labraiz karain sabar kay paimaanay ko
Yeh alag baat keh ek boond muqadar main na thi
Sar pe so baar ghatta chai rahi chaanay ko
Shaam honay ko hai jalnay ko hai shaam-e-mehfil
Saans lenay ko bhi fursat nahin parwaanay ko
No comments:
Post a Comment