Sep 24, 2014

Subh-e-zulmat ka andhera barh raha hai


Subh-e-zulmat ka andhera barh raha hai

Talaash-e-maseeha ka

Shor uth raha hai

Khalqat-e-khudawand main

Toofan-e-karb-o-bala hai

Aye Rab-e-Mohammad " yeh kaisa

Shor-e-mehshar teray koochay main

Macha hai

Khair-e-ummat jissay quraan ne

Pukaara hai

Woh aaj kiyon duniya main

Be'sahara hai

Aye rab-e-kainaat

Kashti-e-islaam ko aap bacha

Keh is kay na'khuda bhi doob gaye hain

Aur

Patwaar bhi toot gaye hain

Sun le hum gunah'gaar ummat ki

Fariyaad aye moula

Keh tujh ko phir zakhmi rooh se pukaara hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...