Sep 7, 2014

Taaluq toot jaye ga mera , saray zamanay se


Taaluq toot jaye ga mera , saray zamanay se

Meray apnay khafa hoon gay , tumhain apna bananay se

Tumhara saath rehnay se , mujhay taskeen milti hai

Bhout takleef hoti hai , tumharay door janay se

Meray ghar ko jala dena , magar itna yaad rakhna

Ujaala mil nahin sakta , kisi ka ghar jalaanay se

Hamari jaan jaye gi , to phir jaan jayoo gi

Keh hasil kuch nahin hota , kisi ko azmaanay se

Tumhara naam kaisay mittaon , apni kahaani se "Mujhay"

Bara gehraa taaluq hai , tear mera zamanay se

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...