Tum yaad ho to naqsh ho mere hawaas par
Tum aankh ho to mere dukhon ka ilaaj ho 
Tum khwaab ho to meri aankhon main ho kahin 
Tum weham ho to mujh ko haqeeqat se kiya gharz 
Tum baa'iss-e-safar ho , hunar ki uraan ho 
Tum neend ho to so kay guzaarain gay yeh hayaat 
Tum husan ho to mere takhiyul ki jaan ho 
Tum raat ho to mujh ko nahin subha ki talab 
Tum noor ban kay dil main samaaiye ho aaj kal 
Tum khaak ho to khaakh nasheeno ki ho talaash 
Tum dard ho to rooh pe chaye ho aaj kal 
Tum dasht ho to main bhi musaafir hoon dasht ka 
Tum chaand ho to talkh andheron ki fikar kiya 
Tum be'niyaz ho to zamanay se ho alag 
Tum rang ho to phir yeh bahaaron ka zikar kiya 
Tum be'samar ruton main , bahaaron ki ho umeed
Tum raah'guzar-e-shouq main jazba junoon ka ho 
Tum aarzoo ho , ehal-e-tamana ki ho khalish 
Tum rut'jagon ki bheer main lamha sakoon ka ho 
Tum be'wafa ruton main hawala ho ishq ka 
Tum be'basi ho phir bhi moheet-e-hawas ho 
Tum ik kiran ho noor-e-azal main dhali hui 
Tum taazgi ho , shabnami phoolon ki aas ho 
Tum gehray paaniyon main chupay motiyon ka lams 
Tum mout kay safar main nishaan-e-hayat ho 
Tum meri chashm-e-nam kay sitaaron ki keh'kishaan 
Tum husan-e-be'misaal , meri kaainaat ho 
Tum jab se ho gaye ho meri dastaras se door
Main jee raha hoon kiyon keh zaroori hai zindagi 
Saanson kay boujh ko bhi uthaya hai rooh ne 
Lakin tere baghair adhoori hai zindagi 
 
No comments:
Post a Comment