Taraptay huye dil se nikli hui sada se ulajh
baithay hain 
Apnay milan ki her aik dua se ulaj baithay hain
Khudaya khabar kiya rang kayein gi apni
be'baaqiyan 
Keh meh'kaday main saaqi ki ataa se ulajh baithay
hain 
Faqat us ki khatar keh teri khabar kiyon nahin
leti 
Kai baar teray shaher ki hawa se ulajh baithay
hain 
Shikhaya tha "ali" jinhain alfaaz
baratanay ka saleeqa 
Wohi aaj mere sukhan ki ada se ulajh baithay hain
 
No comments:
Post a Comment