Bhout muddat se aisa hai
Keh woh khamosh rehta hai
Koi gehra hai gham shayed
Jissay chup chaap sehta hai
Youn hi chaltay huye tanha
Koi gham'geen sa naghma
Woh aksar gun'gunaata hai
Doraan-e-guftagoo youn hi
Milain nazron se jab nazrain
To baatain bhool jaata hai
Kisi gum sum si halat main
Ya phir baarish kay mousam main
Faqat itna hi kehta hai
Udaasi be'waja si hai
Bhout boujhal tabiyat hai
Bhala sach kiyon nahin kehta
Ussay mujh se shikayat hai
No comments:
Post a Comment