Woh bhi kiya din thay keh pal main kar diya kartay thay hum
Umar bhar ki chahatein , her ik harjaaei kay naam
Woh bhi kiya mousam thay jin ki nikhaton kay zaaiqay
Likh diya kartay thay khaal-e-khad ki ra'anaai kay naam
Woh bhi sohbatein thein jin ki muskurahat kay fasoon
Waqf tha ehal-e-wafa ki bazam-e-aarai kay naam
Woh bhi kiya shaamain thein Jin ko shohratein mansoob thein
Be'sabab khulay huye baalon ki ruswaai kay naam
Ab keh woh rut hai keh her taza qayamat ka azaab
Apnay jaagtay zakhmon ki gehraai kay naam
Ab kay apnay aansoo'on kay sab shakista aainay
Kuch zamanay kay liye , kuch tanhai kay naam
No comments:
Post a Comment