Dil-o-nigah pe kis tour kay azaab utray
Woh mahtaab hi utra , na us kay khwaab utray
KAhan woh rut ki jabeeno pe aftaab utray
Zamaana beet gaya us ki aab-o-taab utray
MAin ussay khul kay milon , soch ka hijaab utray
Woh chahta hai meri rooh ka naqsh utray
Udaas shab main , kari dopehar kay lamhon main
Koi chraagh , koi surat-e-gulaab utray
KAbhi kabhi tere lehjay ki shabnami thandak
Smaa'ton kay dareechon pe khwaab khwaab utray
Faseel-e-shaher-e-tamana ki sard baailon par
Tera jamaal kabhi surat-e-shabaab utray
Teri hansi main naye mousamon ki khushboo thi
Naveed ho keh badan pe puraanay khwaab utray
Sapurdagi ka mojassam sawaal ban kar khailon
Misaal-e-qatra-e-shabnam tera jawaab utray
Teri tarah meri aankhain bhi mohtabar na rahein
Safar se qabal hi raaston main woh saraab utray
No comments:
Post a Comment