Sep 9, 2014

Waheen pathar sajay rakhay huye hain


Waheen pathar sajay rakhay huye hain
Jahan tak aainay rakhay huye hain

Wafa ki raah main tum loat aao
Abhi kachay gharray rakhaye huye hain

Hamari zindagi guzray gi kaisay
Keh tum ne faaslay rakhay huye hain

Kabhi fursat mile to loat aao
Saja kay raastay rakhaye huye hain

Nishaan milta nahin hai manzilon ka
YEh kaisay da'iray rakhaye huye hain

Saja kay phool hum ne aaj "Rana"
Tumharay wastay rakhay huye hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...