Sep 9, 2014

Ae jaan-e-kainaat


Ae jaan-e-kainaat

Teri nazar karon main kiya

Meri chahatein , meri wafaein

Hai sanam teray wastay

Phool , khushboo aur yeh rang saaray

Zameen kay zarhy , falak kay taaray

Chaman kay gulaab be'hisaab

Musar'raton kay baab saray

Hai jaan-e-tamana naam teray

Meri chahaton kay rang hain dil'kash

Meri mohabbaton kay safar main tum ho bas

Chaandni ruton main tum ho

Gham ki tama'zatein  na tum tak ayein

Kamraani ki sha'raah par tum gaam'zan raho

Wafa ky moti ki yeh maala

Tum apnay saath hi rakhna , chahaton ka hisaab rakhna

Meri dua hai ae jaan-e-kainaat

Is janam din par

Tum jo chaho mujh se maang lo

MAin sirf dua bani hoon

Main waqat-e-sadaa bani hoon

Mohabbaton ki ameen hoon main to

Chahaton ki fasal hoon main

Bas ! harf-e-aakhir yeh hai kehna

Main hoon teri , ae jaan-e-tamana

Is janam din par bas hai itna kehna

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...