Woh ibtadaon ki ibtida hai , woh intihaaon ki intiha hai
Sana karay is ki koi kiyon kar bashar hai , lakin khuda numa hai
Woh kon hai , muntazir tha jis ka jahan-e-noraniyaan azal se
Gawaah hai keh'kishaan abhi tak keh koi is raah se gaya hai
Woh sar-e-takhleeq hai , Mujassam keh khud hi adam (A.S) hai khud hi aalam
Wajood ki saari wusaton par moheet hai , jo woh daaira hai
Wohi hai awal wohi hai aakhir , wohi hai baatin wohi hai zaahir
Yeh soch hai aagahi se baahir , woh aur kiya hai jo reh gaya hai
Inhi ka maskan inhi ka ghar hain , inhi ki nisbat se mohtabar hain
Haram ho teyaba ho , mera dil ho , yeh sab wohi ik silsala hai
Nahin hai koi maseel us ka , nahin hai koi nazeer us ka
Woh shakhs bhi hai , woh aks bhi hai woh aap apna aaina hai
Hai had-e-faazil keh khat-e-wasil keh qos keh qos hai muqabil
"Saleem" aajiz hai fehm-e-kaamal kahan , bashar hai kahan khuda hai
No comments:
Post a Comment