Madeenay ka safar hai aur main nam'deeda nam'deeda
JAbeen afsurda afsurda , qadam laghzeeda laghzeeda
Chala hoon ik mujrin ki tarah main jaanib-e-tayaba
Nazar sharminda sharminda , badan larzeeda larzeeda
Kisi kay haath ne mujh ko sahara dy diya warna
Kahan main aur kahan yeh raastay paicheeda paicheeda
Madeenay ja kay hum samjhay taqadus kis ko kehtay hain
Hawa pakeeza pakeeza , fiza sanjeeda sanjeeda
Wohi iqbaal jis ko naaz tha kal khush mizaaji par
Firaaq-e-tayaba main rehta hai , ab ranjeeda ranjeeda
No comments:
Post a Comment