Sep 16, 2014

Woh kiyon kar aisa kartay hain


Woh lartay hain 

Woh lartay hain 
Magar kis kay liye aakhir
Keh jo un ka nahin hai 
Khuda janay zameer us ka gawara kis tarah karta hai aakhir
Keh woh kitni dethai se kisi kay haq pe daaka daaltay hain 
Aur phir khud ko moaziz jaantay hain 
Suna hai woh zameer aisi kisi shay se
Zara bhi waqfiyat tak nahin rakhtay 
To us par hairatein kaisi 
Yahi khush qismati un ki 
Unhain marnay nahin deti 
MAgar yeh be'hissi in ki 
Hamain kiyon kar staati hai 
Keh jab jab sochtay hain hum 
Hamari jaan jaati hai
Woh lartay hain 
Kisi kay haq pe martay hain 
Woh kiyon kar aisa kartay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...