Be'sada aahat
MAin khud ko us kay qabil kab samjhta tha
Tha kis main hosla itna keh apnay khwaab ko choo lay
Magar ik be'sada aahat pe jab yeh khwaab toota to
Mnaazar aur hi kuch thay
NA woh gul'naar sa chehra , na woh khwabeeda si aankhain
Na saya daar woh palkain , Na khushboo main rachi saansain
NA shahed agaheen se lab us kay
Na us pe harf-e-gul koi
Mukamal ik naya chehra
Mukamal ik naya lehja
Woh is ka youn badal jaana to us ki aik zaroorat thi
Khula mujh par keh us kay paas jeenay ki faqat yeh aik surat thi
Wagarna us main kiya shak hai ! Ussay mujh se mohabbat thi
No comments:
Post a Comment