Sep 9, 2014

Woh sitam dil pe kab nahin kartay


Woh sitam dil pe kab nahin kartay
Hum gila be'sabab nahin kartay

Hai ghlat yeh tumhara andaaza
Be'wafai to sab nahin kartay

Rooth jaati hai kaainaat-e-karam
Baat woh hum se jab nahin kartay

Dekhiyea bas nigah-e-ulfat se
Aur kuch hum talab nahin kartay

Waasta un ko bad'naseebi se
Jo baron ka adab nahin kartay

Dil ka shikwa ba'lab nahin hota
Hum bhi itna ghazab nahin kartay

Hum ne kiya keh diya unhain "Aater"
Hum se woh baat ab nahin kartay 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...