Ik diya dil main jalaana bhi , bujha bhi dena
Yaad karna bhi ussay roz, bhulaa bhi dena
Kiya kahoon meri chahat hai ya nafrat us ki
Naam likhna bhi mera , likh kar mitta bhi dena
Phir na milnay ko bicharta hoon tujh se lakin
Mur kay dekhon to palatnay ki dua bhi dena
Khat bhi likhna ussay mayoos bhi rehna us se
Juram karna bhi magar khud ko saza bhi dena
Mujh ko rasmon ka takaluf bhi gawara lakin
Jee main aye to yeh dewaar giraa bhi dena
Us se mansoob bhi kar lena puraanay qissay
Us kay baalon main naya phool saja bhi dena
Soorat-e-naqsh-e-qadam , dasht main rehna "Mohsin"
Apnay honay se na honay ka pata bhi dena
No comments:
Post a Comment