Tujhay udaas bhi karna tha khud bhi rona tha
Yeh haadsa bhi meri jaan kabhi hona tha
Namu ka ranj na abar guraiz'paa se malaal
Keh mujh ko baanjh zameeno main beej bona tha
Yeh kiya keh gard-e-raah-e-raftagaan ko orh liya
Kafan ka daagh badan kay lahoo se dhona tha
Jo daastaan ussay kehna thi phir na guftagoo rahi
Keh main bhi tahk sa gaya tha , ussay bhi sona tha
Main takht-e-abar par soya tha raat bhar Mohsin
Khuli jo aankh to sehra mera bichoona tha
No comments:
Post a Comment