Lut'tay kahan keh saahib-e-jageer hum na thay
Noor jahan na thi woh , jahangeer hum na thay
Apni dua se maand na parta kisi ka husan
Itnay baray yo saahib-e-taseer hum n athay
Milta raha woh khwaab main kitnay khaloos se
Aankhain khuli ti khwaab ki tabeer hum na thay
Hum ko na dy pyaam-e-rehaai hawa-e-subha
Wajah-e-khroosh-e-khana zanjeer hum na thay
Her dsour-e-be'sada main ik zulm kay khilaaf
Hum ko hi bhoolna tha keh tasveer hum hi thay
Sab ehal-e-shaher phir dar-e-dushman pe jhuk gaye
Mohsin khula keh shaher ki taqdeer hum na thay
No comments:
Post a Comment