Yeh ishq dewaana hota hai , tum rog lagaye
phirtay ho
Yeh log to sab begaanay hain , tum saath nibhaye
phirtay ho
Yeh jal thal si ab rehnay do , aankhon se paani
behnay do
Yeh roop sohaana kartay hain , tum ashk chupaye
phirtay ho
Sawan ka barsay ga mousam to sehraa phool
khilaein gay
Yeh soch kar dil behlaana hai , tum hosh urraye
phirat ho
Kis gham main doobi yeh aankhain , ab surkhi
ma'yel rehti hain
In palkon pe yeh ashk nahin, tum khoon saja'ey
phirtay ho
YEh loat kar aye ga mousam , gulshan main khilain
gi phir kaliyan
Yeh rut to aani jaani hai , tum sog manaye
phirtay ho
No comments:
Post a Comment