Hum bhout door nikal aye hain chaltaychaltay
Ab tehar jayein kahin , shaam kay dhaltay dhaltay
Ab gham-e-zeest se ghabra kay kahaan jayein gay
Umar guzri hai isi aag main jaltay jaltay
Raat kay baad sehar ho gi magar kis kay liye
Hum hi shayed na rahain raat kay dhaltay dhaltay
Roshni kam thi magar itna andhera to na tha
Shama-e-umeed bhi gul ho gayi jaltay jaltay
Aap waday se mukar jayein gay rafta rafta
Zehan se baat utar jaati hai taltay taltay
Tooti dewaar ka saya bhi bhout hota hai
Paaon jal jayein agar dhoop main chaltay chaltay
Din abhi baaqi hai "Iqbal" zara tez chalo
Kuch na soojhay ga tumhain shaam kay dhaltay dhaltay
No comments:
Post a Comment