Oct 14, 2014

Tumhaari anjuman se uth kar deewaanay kahan jaatay


Tumhaari anjuman se uth kar deewaanay kahan jaatay

Jo waabasta huway tum se woh afsaanay kahaan jaatay

Nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na maikhaana

To thukraaye huway insaan khuda jaanay kahaan jaatay

Tumhaari be-rukhi ne laaj rakh li baadah khaanay ki

Tum aankhon se pila daitay to paimaanay kahaan jaatay

Chalo acha huwa, kaam aagayi deewaangi apni

Wagarna ham zamaanay bhar ko samjhaanay kahaan jaatay

“qateel” apna muqaddar gham se begaana agar hota

To  apnay paraaye hum se peh’chaanay kahaan jaatay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...