Aaj kal sach poochiye to muskuraata kon hai
Khud fraibi hai faqat , hansata hansaata kon hai
Meri neendain urr gayi hain yeh to keh sakta hoon main
Yeh magar mat poochiyea neendain uraata kon hai
Tum nahin aatay na aayo , tum se shikwa bhi nahin
Tum se kehta kon hai , tum ko bulaata kon hai
Tum nahin suntay agar afsaana-e-gham mat suno
Her kas-o-na'kas ko afsaana sunaata kon hai
Is se pehlay bhi kiya hai hum ne un ka aaitabaar
Aisay waday to bhout hotay hain aata kon hai
Un ki mehfil dekhnay ka shouq to hum ko bhi hai
Hum wahaan jaatay , magar hum ko bulaata kon hai
Fitna haye dehar kay "Iqbal" shaaki hain sabhi
In se yeh poochiyea koi fitnay jagaata kon hai
No comments:
Post a Comment