Oct 28, 2014

To wafa se aasra kiya karain


Bhrosay ne bhi dhoka dy diya hamain 
To wafa se aasra kiya karain 

Jab dharkan ne hi dil ka saath na diya 
To sansoon ki arzoo kiya karain 

Palkon se saja gaya woh hamaray diye judaai kay 
Ab andhi se shikwa kaisay karain 

Kaha tha us ne keh aik din loat kay aaon ga 
Ab waqat se gila kaisay karain 

Zindagi ki kashti beech samnadar ataq gayi 
Jiyeain bhi to kaisay aur kaisay hum marain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...