Dukh ki lahar ne chhera ho ga
yad ne kankar phenka ho ga
aaj to mera dil kahta hai
tu is waqt akela ho ga
mere chume hue haathon se
auron ko khat likhta ho ga
bheeg chalin ab raat ki palkein
tu ab thak kar soya ho ga
shahr k khali asteshan par
koi musafir utra ho ga
aangan mein phir chiriyaan bolein
tu ab so kar utha ho ga
yadon ki jalti shabnam se
phool sa mukhara dhoya ho ga
moti jaisi shaql bana kar
aaine ko tak-ta ho ga
shaam hui ab tu bhi shayd
apne ghar ko lauta ho ga
neeli dhundhali khamoshi mein
taaron ki dhun sunta ho ga
mera sathii shaam ka taara
tujh se aankh milaata ho ga
shaam k chalte hath ne tujh ko
mera salam to bheja ho ga
pyasi kurlati kunjon ne
mera dukh to sunaya ho ga
main to aaj bohat roya hon
tu bhi shayd roya ho ga
nasir tera meet purana
tujh ko yad to aata ho ga
No comments:
Post a Comment