Oct 5, 2014

Zehar kay ghoont bhi hans hans kay piyea jaatay hain


Zehar kay ghoont bhi hans hans kay piyea jaatay hain

Hum behar haal saleeqay se jiye jaatay hain

Aik din hum bhi bhout yaad kiyea jayein gay

Chand afsaanay zamanay ko diyea jaatay hain

Hum ko duniya se mohabbat bhi bhout hai lakin

Laakh ilzaam bhi duniya ko diyea jaatay hain

Bazam-e-aghiyaar sahi , azra-e-tanqeed sahi

Shukar hai hum bhi kahin yaad kiyea jaatay hain

Hum kiyea jaatay hain taqleed-e-riwaayaat-e-junoon

Aur khud chaak giribaan bhi seeiyea jaatay hain

Gham ne bakhshi hai yeh mohtaat mizaaji hum ko

Zakham bhi khaatay hain aansoo bhi piyea jaatay hain

Haal ka theek hai "Iqbal" na farda ka yaqeen

Jaanay kiya baat hai hum phir bhi jiyea jaatay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...