Dariya-o-koh-o-dasht-o-hawa arz aur samaa
dekha to her makaan main wohi hai raha samaa
Hai kon si woh chasham nahin jis main is ka noor
Hai kon sa woh dil keh nahin jis main is ki jaa
Qamri is ki yaad main ku ku karay hai yaar
Bulbul isi kay shouq main karti hai cheh'chaa
Muflis kahin ghreeb kahin tongar kahin ghani
Ajaaz kahin nabl kahin sultaan kahin gadaa
Behroop sa bana kay her jaa woh aan aan
Kis kis tarah kay roop badalta hai wah wah
Mulk-e-raza main kay kay tawakal ki jins ko
Baithain hain sab usi ki dukaanain laga laga
Sab ka usi dukaan se jaari hai karo'baar
Laita hai koi husan , koi dil hai baichta
Dekha hai jo khoob ghour se hum ne to yahaan "Nazeer"
Bazaar-e-mustufaa hai , kharidaar hai khuda
Poet : Nazir Akbar Abadi
No comments:
Post a Comment