Nov 18, 2014

Ek muddat baad aaj tujhay likh raha hoon


Ek muddat baad aaj tujhay likh raha hoon 

Kiya kahoon aaj kal main kaisa dikh raha hoon 

Ab sheeshon ko dekh kar sawarna nahin hota 

Teray intizaar main shaamon ka teharna nahin hota  

Sochta hoon kabhi mil aaon tujh se 

Par kiya karoon 

Ab un galiyon se mera guzarna nahin hota 

Yeh faaslay bhi barh gaye waqat kay saath youn hi 

Sab badal gaye par main badla nahin 

Yaad aye kabhi , to awaaz laga lena 

Main kal bhi wahin tha 

Main aaj bhi wahin hoon 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...