Is main kiya shak hai keh us ka nahin saani koi
Warna mehfooz chali aati nishaani koi
Dil se youn phoot'ti parti hai mohabbat us ki
Jaisay taareeki main ho raat ki raani koi
Main ne imkaan se baahir bhi hai socha us ko
Aqal-o-dil choo na sakay aur kahaani koi
Us ki matti se kai chaand ubhray
Jis ne is dar kay siwa khaak na chaani koi
Kiya taajub hai keh us ka bhi wohi waaris hai
Jis gunah'gaar ne is ki nahin maani koi
Kis tarah saad mehak uth'ti hai matti pal main
Meri aankhon se jo chalkaata hai paani koi
No comments:
Post a Comment