Kaha karti thi tum aksar
Mujhay ik naam aisa do
Pukaaro jis se tum mujh ko to youn mehsoos ho jaisay
Tumhari shayri sari meri tareef teharti hai
Jissay sun kar main khwaabon ki si kafiyat main kho jaaon
Hawaon main urron jaisay
Jisay sun kar yeh dil kiya rooh tak sarshaar ho jaye
Jissay sun kar meri tishna labi sairaab ho jaye
Jissay sun kar lagay aisay keh jaisay baarish phoolon ki
Badan ki her kali jaisay be'andaaz zikar mehkay
Jissay sun kar lagay aisay
Keh madham se meethay surron main tairata meetha madhur naghma
Guzartay waqat kay lamhay jissay sun kar tehar jayein
Samaa madhosh ho jaye
jissay sun kar bahaarain jaatay jaatay phir se loat ayein
mujhay aik naam aisa do
so ae meharbaan larki
main aksar sochta hoon koi aisa naam tum ko doon
keh jo mansoob ho tum se
to tum ko ja'widaa kar day
Ho koi naam aisa to
jo mujasma-e-husan-e-fitrat ho
Bhout hi khoobsurat ho
Kisi nazuk pari jaisa
Keh jo husan-e-jahaan rang-o-boo ka ista'aara ho
Teray malkooti paikar ko magar tashbeeh kis se doon
Agar main gul kahoon tum ko ?
Magar phool to murjhaa kay aksar sookh jaatay hain
Kahoon qos-e-qaza lakin ?
Sabhi rang ikhatay mil kar bhi
Teri rooh se chalakti noor ki kirno ko na ponchay
Hina ka naam doon tum ko?
MAgar rang-e-hina to chaar din main rooth jaata hai
Agar baadal kahoon tum ko ?
Ghataaon se siwa lakin teray jazbaat ki shiddat hai
Tumhain sawan kahoon kaisay ?
Tumharay pyaar ki baarish to her mousam barsaati hai
Naseem-e-subha keh doon ya kahoon baad-e-saba tum ko ?
Magar fitrat hawa ki to azal se be'wafai hai
Teri waraftagi sochon , samandar ki lehar keh doon ?
MAgar mojon ki tughyaani to ik poonam ki shab tak hai
Teri aamkhain agar sochon , tumhain meh kay baadal keh doon
Khumaar-e-meh to lakin raat bhar ki baat hoti hai
Agar saya kahoon , jhonka kahoon , khushboo kahoon tum ko ?
Magar tum to mujasma ho
Bhout kuch sochta hoon main
Tumhara naam kiya rakhon ?
Kahoon jaadoo , chragh-e-raah ya manzil kahoon tum ko ?
Kahoon main justagoo , koshish kahoon ya dil kahoon tum ko ?
Shafaq keh doon , sehar keh doon , ya keh doon chandani tum ko ?
Agar khwaish kahoon ya arzoo ya zindagi tum ko ?
Agar sahir kahoon , nasha kahoon ya be'khudi tum ko ?
Ada keh doon , wafa keh doon , haya keh doon agar tum ko ?
Agar sahil kahoon , kashti kahoon , ya na'khuda tum ko ?
Agar taqdeer ya inaam ya qismat kahoon tum ko ?
Agar guncha kahoon , laala kahoon , nargis kahoon tum ko ?
Kahoon main jaan ya jaan-e-jaan tum ko ?
Agar jharna kahoon , dariya kahoon , sagar kahoon tum ko ?
Kiran keh doon , ghata keh doon ya phir rim jhim kahoon tum ko ?
Agar jugnoo kahoon , shola kahoon , shabnam kahoon tum ko ?
Agar sheesha kahoon , moti kahoon , resham kahoon tum ko ?
Yeh saaray naam teri zaat kay pehlu sahi lakin
Magar jajta nahin koi yeh saaray naam faani hain
Tumhara naam aisa ho
Jo tum ko ja'widaa kar day
Tumhain poora bayaan kar day
Suno ae meharbaan larki
Bhout hi soch kar main ne
Tumhara naam rakha hai
Mohabbat , naam kaisa hai ?
Mohabbat jo kabhi marti nahin
No comments:
Post a Comment