Teray galay main jo baahon ko daal rakhtay hain
Tujhay manaanay ka kaisa kamaal rakhtay hain
Tujhay khabar hai tujhay sochnay ki khatar
Bhout se kaam muqadar pe taal rakhtay hain
Koi bhi faisala hum soch kar nahin kartay
Tumharay naam ka sika uchaal rakhtay hain
Tumharay baad yeh aadat si ho gayi apni
Bikhartay sooktay pattay sambhaal rakhtay hain
Khushi se mili hai khud ko azeeyatain day kar
So jaan boojh kay dil ko nidhaal rakhtay hain
Kabhi kabhi woh mujhay hans kay dekh letay hain
Kabhi kabhi mera be'had khyaal rakhtay hain
Tumharay hijar main yeh haal ho gaya apna
Kisi ka khat ho ussay bhi sambhaal rakhtay hain
Khushi milay to teray baad khush nahin hotay
Hum apni aankh main her dam malaal rakhtay hain
Zamanay bhar se bacha kar woh apnay aanchal main
Meray wajood kay tukray sambhaal rakhtay hain
Kuch is liye bhi to be'haal ho gaye hum log
Tumhari yaad ka be'had khyaal rakhtay hain
No comments:
Post a Comment