Dec 21, 2014

Aaina dekh rahi thein meri pathar aankhain


Koi chehra hua roshan na ujaagar aankhain 
Aaina dekh rahi thein meri pathar aankhain 

Lay urri waqat ki aandhi jinhain apnay ham'raah 
Aaj phir dhoond rahi hain woh hi manzar aankhain 

 Phoot niklain to kai shaher-e-tamana boobain 
Ek qatray ko tarasti hui banjar aankhain 

Us ko dekha hai to ab shouq ka woh aalam hai 
Apnay halkon se nikal ayi hain baahir aankhain 

Tu nigahon ki zubaan khoob samjhta ho ga 
Teri jaanib to utha karti hain aksar aankhain 

Log martay na dar-o-baam se takraa kar kabhi 
Dekh letay jo "Kamal" us ki samandar aankhain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...